Sunday, 8 March 2015

yaad rakhna

saath agar chhoot jaaye, duaaon me yaad rakhna.
main agar na milu kal ko , yaadon me yaad rakhna.
saath hote hi chhotne ke liye hai
hamesha saath kaun rahte hai hai
hamari chhor jaane ki aadat nahi
aate hai aane wale , chale jaate hai
main kabhi chala jau kahi, yaro se meri baat karna,
rooth na jana mujhse, hmesha ki tarah maaf karna.
ek ghar hai mera beeti yaadon ka
yariyan na jaane kitni dafn hai jisme
tum agar koi ghar bana lo kal ko
ek kone me sahej kar rakh lena mujhe
ziddi hu main jante to ho, dil se jaunga to nahi yoon
lekin zara sa jhel lena , ho sakta k baad me bhi sataaun
takdeer se khwahish hoti meri yahi
jo mujhe mila hai wo bichchde na kabhi
khone ki aadat se fir shart lagaa li
samjha fir usse bhala koi jeeta kabhi
aadat nahi jaati hai meri bhulaane walo ko bhoolne ki
himmat hai mujhme agar meri galti ho to kaboolne ki
koi gunah tumhara kiya ho to kahna
adhoori baate liye mere saath n rahna
kal meri yaado me koi kasak na rah jaye
waise aata hai mujhe wqt ki chot sahna
mujhse jhagdo, baato, naseehato ko tum yaad rakhna
jindagi ka hissa na bna sako, yaado ke paas rakhna.

No comments:

Post a Comment